Josh Malihabadi

mila jo mauqa to rok dunga jalal roz-e-hisab tera

Josh Malihabadi

1898-1982
milā jo mauqa.a to rok dūñgā 'jalāl' roz-e-hisāb terā
paḌhūñgā rahmat kā vo qasīda ki hañs paḌegā itaab terā
yahī to haiñ do sutūn-e-mahkam inhīñ pe qaa.im hai nazm-e-ālam
yahī to hai rāz-e-ḳhuld-o-ādam nigāh merī shabāb terā
sabā tasadduq tire nafas par chaman tire pairahan pe qurbāñ
nasīm-e-doshīzgī meñ kaisā basā huā hai shabāb terā
tamām mahfil ke rū-ba-rū go uThā.īñ nazreñ milā.īñ āñkheñ
samajh sakā ek bhī na lekin savāl merā javāb terā
hazār shāḳheñ adā se lachkīñ huā na terā sā loch paidā
shafaq ne kitne hī rañg badle milā na rañg-e-shabāb terā
idhar mirā dil taḌap rahā hai tirī javānī kī justujū meñ
udhar mire dil kī aarzū meñ machal rahā hai shabāb terā
karegī donoñ kā chaak parda rahegā donoñ ko kar ke rusvā
ye shorish-e-zauq-e-dīd merī ye ehtimām-e-hijāb terā
jaḌeñ pahāḌoñ kī TuuT jātīñ falak to kyā arsh kaañp uThtā
agar maiñ dil par na rok letā tamām zor-e-shabāb terā
bhalā huā 'josh' ne haTāyā nigāh kā chashm-e-tar se parda
balā se jaatī raheñ gar āñkheñ khulā to band-e-naqāb terā
Top Urdushayar.com