sukhāne baal hī koThe pe aa ga.e hote
isī bahāne zarā muñh dikhā ga.e hote
tumheñ bhī vaqt kī raftār kā pata chaltā
nikal ke ghar se galī tak to aa ga.e hote
galā bhigo ke kahīñ aur sadā lagā letā
zarā faqīr ko paanī pilā ga.e hote
are ye Thiik huā hoñT sī liye ham ne
vagarna log tujhe kab kā pā ga.e hote
bhalā ho chāñd kā aate hī nuur pahuñchāyā
sitāre hote to āñkheñ churā ga.e hote
javān jismoñ ko ThanDā na kar sake lekin
havā ke jhoñke diyā to bujhā ga.e hote