jaatī huī laḌkī ko sadā denā chāhiye
ghar ho to burā kyā hai pata denā chāhiye
hoñToñ ke gulāboñ ko churā lene se pahle
bāloñ meñ koī phuul khilā denā chāhiye
Dar hai kahīñ kamre meñ na ghus aa.e ye manzar
khiḌkī ko kahīñ aur haTā denā chāhiye
par tol ke baiThī hai magar uḌtī nahīñ hai
tasvīr se chiḌiyā ko uḌā denā chāhiye
sadiyoñ se kināre pe khaḌā suukh rahā hai
is shahr ko dariyā meñ girā denā chāhiye
marne meñ mazā hai magar itnā to nahīñ hai
'alvī' tumheñ qātil ko duā denā chāhiye