hazāroñ lākhoñ dillī meñ makāñ haiñ
magar pahchānñe vaale kahāñ haiñ
kahīñ par silsila hai koThiyoñ kā
kahīñ girte khañDar haiñ nāliyāñ haiñ
kahīñ hañstī chamaktī sūrateñ haiñ
kahīñ miTtī huī parchhā.iyāñ haiñ
kahīñ āvāz ke parde paḌe haiñ
kahīñ chup meñ ka.ī sargoshiyāñ haiñ
qutub-sāhib khaḌe haiñ sar jhukā.e
qile par gidh bahut hī shādmāñ haiñ
are ye kaun sī saḌkeñ haiñ bhaa.ī
yahāñ to laḌkiyāñ hī laḌkiyāñ haiñ
likhā miltā hai dīvāroñ pe ab bhī
to kyā ab bhī vahī bīmāriyāñ haiñ
havāloñ par havāle de rahe haiñ
ye sāhab to kitāboñ kī dukāñ haiñ
mire aage mujhī ko koste haiñ
magar kyā kījiye ahl-e-zabāñ haiñ
dikhāyā ek hī dillī ne kyā kyā
burā ho ab to do do dilliyāñ haiñ
yahāñ bhī dost mil jaate haiñ 'alvī'
yahāñ bhī dostoñ meñ talḳhiyāñ haiñ