Josh Malihabadi

sayyaad dam-e-zulf se mujhko riha kare

Josh Malihabadi

1898-1982
sayyād dām-e-zulf se mujh ko rihā kare
vo din tamām umr na aa.e ḳhudā kare
le de ke rah gayā hai yahī ek aasrā
aisā kabhī na ho ki vo tark-e-vafā kare
mujh be-navā ke naaz uThā.e vo nāznīñ
sultān aur kāvish-e-qurb-e-gadā kare
dāmān-e-bū-e-kākul-e-shab rañg chhoḌ de
yā rab kabhī ye zulm na bād-e-sabā kare
jis ke maraz pe sehat-e-ālam nisār ho
kis tarah vo marīz duā-e-shifā kare
but jis pe multafit ho ba-hadd-e-supurdagī
zindīq hai agar vo ḳhudā se duā kare
umr-e-darāz o puḳhtagi-e-fikr-e-nukta-sañj
kahtī hai ḳhaam kaam mujhe haañ kahā kare
us rū-e-dil-nashīñ pe nigāheñ jamī rahīñ
fariyād kar rahī hai basīrat ki kyā kare
ab dām-e-husn-o-ishq se niklūñ na tā-ba marg
ghar jal rahā hai aql-e-rasā kā jalā kare
hikmat namak-harām huuñ be-shak tirā magar
jis par paḌe ye vaqt vo bechārā kyā kare
yā rab hisār-e-najd se ab uTh sake na 'josh'
yūnān de rahā hai duhā.ī diyā kare
Top Urdushayar.com