numāyāñ muntahā-e-sai-e-paiham hotī jaatī hai
tabī.at be-niyāz-e-har-do-ālam hotī jaatī hai
uThī jaatī hai dil se haibat-e-ālām-e-rūhānī
jarāhat bahr-e-qalb-e-zār marham hotī jaatī hai
kinārā kar rahā hai ruuh se haijān-e-sartābī
ki gardan justujū ke shauq meñ ḳham hotī jaatī hai
junūñ kā chhā rahā hai zindagī par ik dhundalkā sā
ḳhirad kī raushnī siine meñ maddham hotī jaatī hai
nasīm-e-be-niyāzī aa rahī hai bām-e-gardūñ se
urūs-e-mudda.ā kī zulf barham hotī jaatī hai
numāyāñ ho chalā hai ik jahāñ chashm-e-tasavvur par
nazar shāyad harīf-e-sāġhar-e-jam hotī jaatī hai
girah yuuñ khul rahī hai har nafas zauq-e-tamāshā kī
ki har adnā sī shai ab ek aalam hotī jaatī hai
fazā meñ kāñptī haiñ dhundlī dhundlī nuqra.ī shakleñ
har ik taḳh.īl-e-pākīza mujassam hotī jaatī hai
na jaane sīna-e-ehsās par ye haat hai kis kā
tabī.at be-niyāz-e-shādī-o-ġham hotī jaatī hai
samajh meñ aa.eñ kyā bārīkiyāñ qānūn-e-qudrat kī
ibādat kasrat-e-ma.anī se mub.ham hotī jaatī hai
ḳhajil thā jis kī shorish se talātum bahr-e-hastī kā
mire dil meñ vo halchal 'josh' ab kam hotī jaatī hai