ye baat ye tabassum ye naaz ye nigāheñ
āḳhir tumhīñ batāo kyūñkar na tum ko chāheñ
ab sar uThā ke maiñ ne shikvoñ se haat uThāyā
mar jā.ūñgā sitamgar nīchī na kar nigāheñ
kuchh gul hī se nahīñ hai rūh-e-numū ko raġhbat
gardan meñ ḳhaar kī bhī Daale hue hai bāñheñ
allāh rī dil-farebī jalvoñ ke bāñkpan kī
mahfil meñ vo jo aa.e kaj ho ga.iiñ kulāheñ
ye bazm 'josh' kis ke jalvoñ kī rahguzar hai
har zarre meñ haiñ ġhaltāñ uThtī huī nigāheñ