Josh Malihabadi

na chheD shair rabab-e-rangin ye bazm abhi nukta-dan nahin hai

Josh Malihabadi

1898-1982
na chheḌ shā.ir rabāb-e-rañgīñ ye bazm abhī nukta-dāñ nahīñ hai
tirī navā-sanjiyoñ ke shāyāñ fazā-e-hindostāñ nahīñ hai
tirī samā.at nigār-e-fitrat ke lahn kī rāz-dāñ nahīñ hai
vagarna zarra hai kaun aisā ki jis ke muñh meñ zabāñ nahīñ hai
agarche pāmāl haiñ ye bahreñ magar suḳhan hai buland hamdam
na dil meñ laanā gumān-e-pastī mirī zamīñ āsmāñ nahīñ hai
zamīr-e-fitrat meñ pur-fishāñ hai chaman kī tartīb-e-nau kā armāñ
ḳhizāñ jise to samajh rahā hai vo dar-haqīqat ḳhizāñ nahīñ hai
harīm-e-anvār-e-sarmadī hai har ek zarra ba-rabb-e-kāba
mirā ye ainī mushāheda hai fareb-e-vahm-o-gumāñ nahīñ hai
har ek kāñTe pe surḳh kirneñ har ik kalī meñ charāġh raushan
ḳhayāl meñ muskurāne vaale tirā tabassum kahāñ nahīñ hai
falak se hañgām-e-sher-goī sadā.eñ paiham ye aa rahī haiñ
ki aaj ai 'josh' nukta-parvar tirā sā jaadū bayāñ nahīñ hai
Top Urdushayar.com