Josh Malihabadi

dosto waqt hai phir zaKHm-e-jigar taza karen

Josh Malihabadi

1898-1982
dosto vaqt hai phir zaḳhm-e-jigar taaza kareñ
parda jumbish meñ hai phir aao nazar taaza kareñ
tā-kujā nāla-e-ġhurbat ki chalī bād-e-shimāl
dil meñ phir zamzama-e-azm-e-safar taaza kareñ
aao phir dhuum se ho aaj ġhurūb aur tulū
sunnat-e-bandagi-e-shams-o-qamar taaza kareñ
aao chal kar ruḳh-e-nā-shusta ko dekheñ dam-e-sub.h
mauj-e-rañg-e-ufuq o nūr-e-sahar taaza kareñ
kulah-e-faqr ko kaj kar ke sar-e-bazm-e-nashāt
aao rasm-e-kohn-e-tāj-o-kamar taaza kareñ
aao phir jalva-e-jānāñ pe luTā deñ kaunain
shuġhl-e-pārīna-e-arbāb-e-nazar taaza kareñ
tabaq-e-zar meñ lagā kar pa-e-nazar-e-jānāñ
aao phir ābrū-e-lāl-o-guhar taaza kareñ
aao phir 'josh' ko de kar laqab-e-shāh-e-suḳhan
dil-o-dīn-e-suḳhan o jān-e-hunar taaza kareñ
Top Urdushayar.com