Sakhi Lakhnvi

ishq karne mein dil bhi kya hai shoKH

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
ishq karne meñ dil bhī kyā hai shoḳh
saikaḌoñ meñ se ik chunā hai shoḳh
ye bhī shoḳhī na.ī nikālī hai
aaj dushman se kuchh ḳhafā hai shoḳh
apnī āñkhoñ meñ raat din rakh kar
maiñ ne ḳhud us ko kar diyā hai shoḳh
ashk-e-ḳhūñ mere dekh kar bole
is se to kuchh mirī hinā hai shoḳh
aañkh se gir ke god meñ machlā
tifl-e-ashk aisā ho gayā hai shoḳh
bosa har vaqt ruḳh kā letā hai
kis qadar gesū-e-dotā hai shoḳh
chheḌtī hai tumhāre zulfoñ ko
kis balā kī magar sabā hai shoḳh
bar meñ ā.īna ke liyā na qarār
jān-e-man aks bhī tirā hai shoḳh
phir ga.ī duur se dikhā ke jhalak
hijr meñ ai 'saḳhī' qazā hai shoḳh
Top Urdushayar.com