Josh Malihabadi

is baat ki nahin hai koi intiha na puchh

Josh Malihabadi

1898-1982
is baat kī nahīñ hai koī intihā na pūchh
ai mudda.ā-e-ḳhalq mirā mudda.ā na pūchh
kyā kah ke phuul bantī haiñ kaliyāñ gulāb kī
ye raaz mujh se bulbul-e-shīrīñ-navā na pūchh
jitne gadā-navāz the kab ke guzar chuke
ab kyuuñ bichhā.e baiThe haiñ ham boriyā na pūchh
pesh-e-nazar hai past-o-buland-e-rah-e-junūñ
ham be-ḳhudoñ se qissa-e-arz-o-samā na pūchh
sumbul se vāsta na chaman se munāsibat
is zulf-e-mushk-bār kā haal ai sabā na pūchh
sad mahfil-e-nashāt hai ik sher-e-dil-nashīñ
is barbat-e-suḳhan meñ hai kis kī sadā na pūchh
kar rahm mere jeb o garebāñ pe ham-nafas
chaltī hai kū-e-yār meñ kyūñkar havā na pūchh
rahtā nahīñ hai dahr meñ jab koī aasrā
us vaqt aadmī pe guzartī hai kyā na pūchh
har saañs meñ hai chashma-e-haivān-o-salsabīl
phir bhī maiñ tishna-kām huuñ ye mājrā na pūchh
banda tire vajūd kā munkir nahīñ magar
duniyā ne kyā diye haiñ sabaq ai ḳhudā na pūchh
kyuuñ 'josh' rāz-e-dost kī kartā hai justujū
kah do koī ki shaah kā haal ai gadā na pūchh
Top Urdushayar.com