lillāhil-hamd ki dil shola-fishāñ hai ab tak
piir hai jism magar tab.a javāñ hai ab tak
barf-bārī hai mah o saal kī sar par lekin
ḳhuun meñ garmi-e-pahlu-e-butāñ hai ab tak
sar pe har chand mah o saal kā ġhaltāñ hai ġhubār
fikr meñ tāb-o-tab-e-kāhkashāñ hai ab tak
kab se nabzoñ meñ vo jhankār nahīñ hai phir bhī
sher meñ zamzama-e-āb-e-ravāñ hai ab tak
lillāhil-hamd ki darbār-e-ḳharābāt kī ḳhaak
surma-e-dīda-e-sāhib-nazrāñ hai ab tak
zindagī kab se hai kāñToñ kī tijārat se figār
phir bhī taḳh.īl meñ phūloñ kī dukāñ hai ab tak
farq par vaqt kā pathrāo hai kab se jaarī
zehn meñ kārgah-e-shīshagarāñ hai ab tak
kis se kahiye ki ba-īñ fikr mirā tār-e-vajūd
zaḳhma-e-ġhaib se larzāñ o tapāñ hai ab tak
kab se huuñ munkir-e-gulbāñg-e-malā.ek phir bhī
dil pe jibrīl kī dastak kā gumāñ hai ab tak
kab se huuñ basta-e-nāqūs-o-mazāmīr-e-butāñ
phir bhī siine meñ koī garm-azāñ hai ab tak
saḳht hairāñ huuñ ki is kufr ke jañgal meñ bhī 'josh'
chashm-e-yazdāñ mirī jānib nigrāñ hai ab tak