Josh Malihabadi

ji mein aata hai ki phir mizhgan ko barham kijiye

Josh Malihabadi

1898-1982
jī meñ aatā hai ki phir mizhgāñ ko barham kījiye
kāsa-e-dil le ke phir daryūza-e-ġham kījiye
gūñjtā thā jis se koh-e-be-sutūn o dasht-e-najd
gosh-e-jāñ ko phir unhīñ nāloñ kā mahram kījiye
husn-e-be-parvā ko de kar dāvat-e-lutf-o-karam
ishq ke zer-e-nagīñ phir har do aalam kījiye
daur-e-peshīñ kī tarah phir Dāliye siine meñ zaḳhm
zaḳhm kī lazzat se phir tayyār marham kījiye
sub.h se tā shaam rahiye qissa-e-āriz meñ gum
shaam se tā sub.h zikr-e-zulf-e-barham kījiye
din ke hañgāmoñ ko kījiye dil ke sannāTe meñ ġharq
raat kī ḳhāmoshiyoñ ko vaqf-e-mātam kījiye
dā.imī ālām kā ḳhūgar banā kar ruuh ko
nā-gahānī hādsoñ kī gardaneñ ḳham kījiye
ġhaiz kī dauḌī huī hai lahar sī asnām meñ
'josh' ab ahl-e-haram se dostī kam kījiye
Top Urdushayar.com