Josh Malihabadi

hairat hai aah-e-subh ko sari faza sune

Josh Malihabadi

1898-1982
hairat hai āh-e-sub.h ko saarī fazā sune
lekin zamīñ pe but na falak par ḳhudā sune
fariyād-e-andalīb se kāñpe tamām baaġh
lekin na gul na ġhuncha na bād-e-sabā sune
ḳhud apnī hī sadāoñ se gūñje hue haiñ kaan
koī kisī kī baat sune bhī to kyā sune
ye bhī ajab tilism hai ai shorish-e-hayāt
dard-āshnā kī baat na dard-āshnā sune
shāhoñ ke dil to sañg haiñ shāhoñ kā zikr kyā
ye bhī nahīñ ki haal gadā kā gadā sune
aalam hai ye ki gosh-e-bashar tak hai be-niyāz
honā thā ye ki banda kahe aur ḳhudā sune
sunte bhī haiñ jo log to yuuñ dāstān-e-ġham
jaise yazīd sāneha-e-karbalā sune
haañ ai ḳhuda-e-arsh-e-barīñ o butān-e-farsh
tum meñ se ho koī to mirā mājrā sune
pashmīna-posh rāh-nashīnoñ kī iltijā
shāyad kabhī vo shāhid-e-atlash-qabā sune
ham nādir o yazīd na hajjāj haiñ na shimr
allāh aur 'josh' hamārī duā sune
Top Urdushayar.com