Sakhi Lakhnvi

zulf-e-shab-rang jo banai hai

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
zulf-e-shab-rañg jo banā.ī hai
un dinoñ shāne kī ban aa.ī hai
haif sābit hai jeb ne dāman
aur junūn meñ bahār aa.ī hai
kahe parvāna sham.a-rū tujh ko
us kī āñkhoñ meñ charbī chhā.ī hai
merī un kī bigāḌ hone se
ḳhuub aġhyār kī ban aa.ī hai
paanī māñgegā kyā dahān-e-zaḳhm
teġh ik āb-dār kahānī hai
kalima un butoñ ne paḌhvāyā
ḳhūb-rūī hai yā ḳhudā.ī hai
hama-tan ho ga.e haiñ ā.īna
ḳhud-numā.ī sī ḳhud-numā.ī hai
yaar se ho bhalā raqīboñ kā
ai 'saḳhī' bas yahī burā.ī hai
Top Urdushayar.com