Fani Jodhpuri

koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun

Fani Jodhpuri

Rajasthan, India

1984
koī makīñ bhī na thā us makāñ se lauTā huuñ
ḳhudā hī jāntā hai maiñ kahāñ se lauTā huuñ
hayāt guzrī thī kirdār jis ke gaḌhne meñ
zalīl ho ke usī dāstāñ se lauTā huuñ
na koī naqsh nazar meñ na dhuul kapḌoñ pe
samajh meñ kuchh nahīñ aatā kahāñ se lauTā huuñ
jahāñ pe aa ke mukammal hue vajūd tamām
adhūrā ho ki akelā vahāñ se lauTā huuñ
vo ḳhushbūeñ to mire taak meñ hī thiiñ raqsāñ
talāsh kar ki jinheñ gulistāñ se lauTā huuñ
zamīn vāloñ zamīñ kī na dāstāñ pūchho
guzishta raat hī maiñ āsmāñ se lauTā huuñ
jahāñ pe 'fānī' ko faanī banāyā jaatā hai
maiñ ab ke baar usī āstāñ se lauTā huuñ
Top Urdushayar.com