dekh bhaal kar sambhal sambhal kar aate haiñ
ham tak chehre umr badal kar aate haiñ
jame haiñ jo chehre āñkhoñ kī koroñ pe
aao un ko giit ġhazal kar aate haiñ
jab kirneñ paanī pe dastak detī haiñ
lahroñ pe girdāb uchhal kar aate haiñ
tum jaise ham lagne lageñge Thahro to
ham bhī apnā ḳhuun badal kar aate haiñ
gulshan se mujh tak aane meñ havā ke haath
jaane kitne phuul masal kar aate haiñ
'fānī' jaise kuchh chehre bāzāroñ meñ
apnī anā har roz nigal kar aate haiñ