ik imārat na.ī ta.amīr huī jaatī hai
shahr kī ik na.ī tafsīr huī jaatī hai
ai mire azm-e-safar khīñch ki le jā mujh ko
ik qasam paañv kī zanjīr huī jaatī hai
khīñchne aa.ī hai ab maut mire dāman ko
aap ke ḳhvāb kī ta.abīr huī jaatī hai
had to ye hai ki mirī zaat ke andar bhī ab
jā-ba-jā aap kī jāgīr huī jaatī hai
maiñ ne to ḳhvāb samundar ki hī paale the magar
ye nadī kis liye ta.abīr huī jaatī hai
kyā ġhazab hai ki tere naam kī tohmat kab se
be-sabab mere baġhal-gīr huī jaatī hai
phuul ke jism pe titlī kā lahū hai 'fānī'
kyā mire ahd kī tasvīr huī jaatī hai