ḳhushī ki chehre pe ġham kā jalāl saath liye
hayāt miltī hai par intiqāl saath liye
bulandiyoñ pe sabhī aa ke bhuul jaate haiñ
uruuj aatā hai lekin zavāl saath liye
vo ḳhuun āñkhoñ se ronā amal purānā hai
ab ashk bahte haiñ āñkhoñ kī khaal saath liye
ka.ī jamī huī parteñ udheḌ Dālegā
ye mujh meñ kaun hai utrā kudāl saath liye
ḳhabar ye ghol na de machhliyoñ ko paanī meñ
machhere ā.eñge kal sub.h jaal saath liye
yahāñ pe chhoḌ diyā to javāb Das leñge
maiñ lauT jā.uñgā apnā savāl saath liye
vo peT ke liye kaafī nahīñ hai ab 'fānī'
tū jā rahā hai jo rizq-e-halāl saath liye