bahut sunā thā ki khultā hai par nahīñ khultā
ḳhudā ke vāste bande kā ghar nahīñ khultā
vo ek sher jo khultā hai saarī mahfil pe
vo jis pe khulnā hai us pe magar nahīñ khultā
hamāre qad ke mutābiq jise banāyā thā
vahī vo dar hai jo bālisht-bhar nahīñ khultā
bane hue haiñ ajā.eb-gharoñ kī zīnat ham
par apne vāste apnā hī dar nahīñ khultā
tumheñ pahuñchnā hai 'iqbāl' 'mīr' 'ġhālib' tak
magar vo rāsta shāyad idhar nahīñ khultā
kare kī minnateñ karte haiñ ek muddat se
magar nasīb meñ apne safar nahīñ khultā
savāl dastakeñ de ki hue fanā 'fānī'
jahāñ javāb hai bas vo hī dar nahīñ miltā