ye ḳhākī aag se ho kar yahāñ pe pahuñchā hai
ḳhamīr uThā thā jahāñ se vahāñ pe pahuñchā hai
nigāh-e-husn ne tartīb ulTī kar Daalī
ki tiir niklā nazar se kamāñ pe pahuñchā hai
abhī talak jo fidā-e-ba-nām-e-ishq rahā
jo hosh aayā to sūd-o-ziyāñ pe pahuñchā hai
maiñ zāhiran to suḳhan se ba-ḳhūb vāqif huuñ
darūñ kā aks agarche ziyāñ pe pahuñchā hai
ḳhizān-e-hijr meñ gulshan meñ phuul khilne lage
gazand ye bhī dil-e-nā-tavāñ pe pahuñchā hai