Hassan Ahmad Awan

sar-e-darbar KHamoshi tah-e-darbar KHushiyan hain

Hassan Ahmad Awan

Chakwal, Punjab, Pakistan

1996
sar-e-darbār ḳhāmoshī tah-e-darbār ḳhushiyāñ haiñ
dar-o-dīvār kī bāteñ dar-o-dīvār ḳhushiyāñ haiñ
tujhe taknā tujhe sunñā tirā hañsnā machal jaanā
hamāre ġham ke āñgan meñ faqat do-chār ḳhushiyāñ haiñ
ka.ī haiñ dāstāneñ dafn yaañ yāroñ ke siine meñ
kahīñ par ġham hai ḳhushiyoñ meñ kahīñ ġham-ḳhvār ḳhushiyāñ haiñ
amīr-e-shahr kyā jaane jo guzrī hai ġharīboñ par
yahāñ par ġham ke phere haiñ vahāñ har baar ḳhushiyāñ haiñ
na jab tak ham samajh paa.eñ hamārā maqsad-e-taḳhlīq
jahāñ meñ jo mayassar hoñ sabhī be-kār ḳhushiyāñ haiñ
baḌī mehnat se likkhī hai sar-e-qirtās jo maiñ ne
kahānī meñ jo rakkhe haiñ sabhī kirdār ḳhushiyāñ haiñ
jo mujh pe shart ho ahmad maiñ puurī kar dikhā.ūñgā
sar-e-inkār gumnāmī pas-e-iqrār ḳhushiyāñ haiñ
Top Urdushayar.com