Hassan Ahmad Awan

aane wale sher pe rae bari bari baiThegi

Hassan Ahmad Awan

Chakwal, Punjab, Pakistan

1996
aane vaale sher pe raa.e baarī baarī baiThegī
ab ki jo bhī nazm kahūñgā zehn pe saarī baiThegī
us ke liye poshāk banā.ūñgā maiñ apne hāthoñ se
rañg sapedī beach meñ hogā surḳh kanārī baiThegī
kam-go haiñ aur apnī aadat apnī fikr pe bhārī hai
varna jab bhī baat kareñge dhaak hamārī baiThegī
achchhe yāroñ kī sohbat meñ rahnā achchhā lagtā hai
log bure hoñge jab saare shar bāzārī baiThegī
dhīre chalnā thāme rahnā fikr-e-subuk-raftārī ko
raste meñ ik moḌ aa.egā aur savārī baiThegī
dil kī zamīñ par ham ne ik konā bhī ḳhālī chhoḌā hai
shaam ko vāpas aa kar jis meñ yaad tumhārī baiThegī
sher kī duniyā se maiñ bāhar niklūñ bhī to kyuuñ niklūñ
nashsha jab utregā merā merī ḳhumārī baiThegī
raat ko jo bhī ḳhvāb meñ dekhā sub.h vahī ta.abīr kiyā
agle roz bhī jāgnā hogā niiñd bichārī baiThegī
ziist hamārī thak jā.egī hijr ke lambe raste par
aur zarā sustāne ko bhī ye dukhiyārī baiThegī
mere bachāo kī to mere yaar hī kuchh tadbīr kareñ
aañkh se zarb lagī hai dil par zarb to kaarī baiThegī
Top Urdushayar.com