Hassan Ahmad Awan

dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar

Hassan Ahmad Awan

Chakwal, Punjab, Pakistan

1996
dariyā kī taraf dekh lo ik baar mire yaar
ik mauj ki kahtī hai mire yaar mire yaar
vīrānī-e-gulshan pe hī ma.amūr hai mausam
miTTī se nikalte nahīñ ashjār mire yaar
kyā ḳhaak kisī ġhair pe dil ko ho bharosā
apne bhī hue jaate haiñ aġhyār mire yaar
maqtal sī fazā rahtī hai is mulk meñ har-dam
dekhe haiñ manāzir ka.ī ḳhūñ-bār mire yaar
ham ḳhāk-nashīnoñ kī yahāñ kaun sunegā
ūñche haiñ bahut ḳhvāb ke darbār mire yaar
dekho ye chalan Thiik nahīñ ishq meñ hargiz
va.ade se mukar jaate ho har baar mire yaar
do chaar hī alfāz mohabbat se bhare hoñ
to dasht ko kar dete haiñ gulzār mire yaar
'hassān' javāñ ḳhuub tirī mashq-e-suḳhan hai
har roz kahe jaate ho ash.ār mire yaar
Top Urdushayar.com