Hassan Ahmad Awan

kuchh aql bhi rakhta hai junun-zad hamara

Hassan Ahmad Awan

Chakwal, Punjab, Pakistan

1996
kuchh aql bhī rakhtā hai junūñ-zād hamārā
ab ishq meñ pāgal nahīñ farhād hamārā
ḳhemoñ se ubharne lagīñ mātam kī sadā.eñ
aur ham se ḳhafā ho gayā sajjād hamārā
ik phuul ke khilne se bahut pahle jahāñ meñ
ik ḳhvāb huā jaatā hai barbād hamārā
ik soch ki mahdūd hī rahtī hai rahegī
ik dil kā parinda hai ki āzād hamārā
ye bazm-e-suḳhan sāz-e-suḳhan hī kī tag-o-tāz
suntā hai yahāñ har koī irshād hamārā
ye talḳhī-e-qismat hai ki sāñsoñ kī atā hai
aahoñ se bhare dāman-e-fariyād hamārā
ham qāfiya-paimā nahīñ shā.ir hue 'hassān'
aur mīr-taqī-'mīr' hai ustād hamārā
Top Urdushayar.com