ḳhud ko kisī kī rāhguzar kis liye kareñ
tū ham-safar nahīñ to safar kis liye kareñ
jab tū ne hī nigāh meñ rakkhā nahīñ hameñ
ab aur kisī kī ruuh meñ ghar kis liye kareñ
kyuuñ chhoḌ deñ na shaam se pahle hī terā shahar
tujh se bichhaḌ ke raat basar kis liye kareñ
mansūb-e-jāñ ho aur koī paikar-e-jamāl
kar sakte haiñ ye kaam magar kis liye kareñ
kis ke liye charāġh jalā.eñ tamām raat
'nāsik' phir ehtimām-e-sahar kis liye kareñ