yahī bahut hai ki ahbāb pūchh lete haiñ
mare ujaḌne ke asbāb pūchh lete haiñ
maiñ pūchh letā huuñ yāroñ se rat-jagoñ kā sabab
magar vo mujh se mire ḳhvāb pūchh lete haiñ
isī galī se jahāñ āftāb ubhrā hai
kahāñ gayā hai vo mahtāb, pūchh lete haiñ
ab aa ga.e haiñ to is dasht ke faqīroñ se
rumūz-e-mimbar-o-mehrāb pūchh lete haiñ
kisī ko jā ke batāte haiñ hāl-e-dil 'nāsik'
kisī se hijr ke ādāb pūchh lete haiñ