Athar Nasik

main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai

Athar Nasik

1959-2012
maiñ tujhe bhūlnā chāhūñ bhī to nā-mumkin hai
tū mirī pahlī mohabbat hai mirā mohsin hai
maiñ use sub.h na jānūñ jo tire sañg nahīñ
maiñ use shaam na mānūñ ki jo tere bin hai
kaisā manzar hai tire hijr ke pas-e-manzar kā
reg-e-sahrā hai ravāñ aur havā sākin hai
terī āñkhoñ se tire hāthoñ se lagtā to nahīñ
mere ahbāb ye kahte haiñ ki to kamsin hai
abhī kuchh der meñ ho jā.egā āñgan jal-thal
abhī āġhāz hai bārish kā abhī kin-min hai
ain mumkin hai ki kal vaqt faqat merā ho
aaj muTThī meñ ye aayā huā pahlā din hai
aaj kā din to bahut ḳhair se guzrā 'nāsik'
kal kī kyuuñ fikr karūñ kal kā ḳhudā zāmin hai
Top Urdushayar.com