Athar Nasik

safar bhi jabr hai na-chaar karna paDta hai

Athar Nasik

1959-2012
safar bhī jabr hai nā-chār karnā paḌtā hai
adū ko qāfila-sālār karnā paḌtā hai
gale meñ Dālnī paḌtī haiñ dhajjiyāñ apnī
aur apnī dhuul ko dastār karnā paḌtā hai
banānā paḌtā hai sochoñ meñ ik mahal aur phir
ḳhud apne haath se mismār karnā paḌtā hai
na-jāne kaun sī majbūriyāñ haiñ jin ke liye
ḳhud apnī zaat se inkār karnā paḌtā hai
koī bhī mas.ala phir mas.ala nahīñ rahtā
zarā zamīr ko bedār karnā paḌtā hai
banānā paḌtā hai apne badan ko chhat apnī
aur apne saa.e ko dīvār karnā paḌtā hai
hamārī gardaneñ mashrūt haiñ so in ke liye
saroñ ko ḳham sar-e-darbār karnā paḌtā hai
Top Urdushayar.com