zahr ke ghūñT pī rahe haiñ ham
terī nazroñ meñ jī rahe haiñ ham
ḳhuub hai sozan-e-mizha bhī tirī
dil ke zaḳhmoñ ko sī rahe haiñ ham
ghar to ghar sar diye haiñ ġhurbat meñ
dasht meñ bhī saḳhī rahe haiñ ham
shoḳh hoñ mai-kade hoñ mahfileñ hoñ
har jagah muttaqī rahe haiñ ham
tere kūche kī guftugū hai fuzūl
tere to dil meñ bhī rahe haiñ ham
pesh-e-ḳhidmat haiñ kausar-o-tasnīm
kushta-e-tishnagī rahe haiñ ham
de diye roTiyoñ samet shutur
muflisī meñ ġhanī rahe haiñ ham
nafs ke shar se 'hilm' bach ke raho
muddatoñ se dukhī rahe haiñ ham