zindagī itnī be-maza kyuuñ hai
dard-o-ġham se ye āshnā kyuuñ hai
is zamāne ke saath saath huuñ maiñ
phir muḳhālif mire havā kyuuñ hai
chāragar bhī na kar sake tashḳhīs
ishq kā dil ko āriza kyuuñ hai
shahr meñ ghar to aur bhī the magar
ik hamārā hī ghar jalā kyuuñ hai
jab vo shah-rag ke hai qarīb to phir
merī nazroñ se vo chhupā kyuuñ hai
ham abhī muttahid hue bhī nahīñ
saare aalam meñ tahlka kyuuñ hai
us ke ġham meñ pata chalā ro kar
qatra-e-ashk be-bahā kyuuñ hai
sakte meñ kufr aaj bhī hai 'vaqār'
rahnumā haq kī karbalā kyuuñ hai