kuñ.eñ jo paanī kī bin pyaas chaah rakhte haiñ
magar nahañg bhī dariyā kī thaah rakhte haiñ
shahādat apnī gavāhī pe ab bhī hai shāhid
shahīd vo haiñ jo haq ko gavāh rakhte haiñ
ye jaan lījiye pahchān donoñ kī hai yahī
jo taaj raajā to kashkol shaah rakhte haiñ
vo ḳhaak dhuul chaTā.eñge apne dushman ko
jo dil na qalb-e-amīr-e-sipāh rakhte haiñ
haiñ dañg apnī hī dahshat ke Dar se dahshat-gard
ye kaale naag haiñ dil bhī siyāh rakhte haiñ
jo log achchhe haiñ rakhte haiñ Thiik ghar ko vahī
ḳharāb log to ghar ko tabāh rakhte haiñ
hamārī un kī siyāsat kā rañg ḳhuub hai vaah
ki ham imaam to vo sarbarāh rakhte haiñ
jo andhe āñkhoñ ke haiñ aur nain mujh ko hai naam
vo kor-chashm bhī ham par nigāh rakhte haiñ
banā ke qasr-e-vafā sher bolā haidar kā
kaTā ke haath bhī ham dast-gāh rakhte haiñ
'vaqār-hilm' alī vāloñ se ḳhudā kī qasam
pul-sirāt ke raste bhī raah rakhte haiñ