vo jis kī saarā jahāñ puḳhtagī se haar gayā
vo ek koh-e-girāñ aadmī se haar gayā
vahī jo raat pe chhāyā huā añdherā thā
sahar huī hai to vo raushnī se haar gayā
nahīñ hai koī sabab sab se us ke kaTne kā
ġharīb aadmī thā muflisī se haar gayā
har ik mahāz pe dushman ko jis se maat huī
vo apne dostoñ kī dostī se haar gayā
bahut aziiz thī us ko bhī apnī jaan magar
hisār-e-jabr meñ vo bebasī se haar gayā
dar-asl us ke muqaddar meñ haar likkhī thī
vo us se jañg meñ bad-qismatī se haar gayā
hamesha ye hī to hotā rahā hai mere aziiz
kisī kī jiit to koī kisī se haar gayā
nahīñ thā us ke barābar kā ahl-e-zar bhī koī
magar ġharīb kī dariyā-dilī se haar gayā
ye kyā maqām hai insāñ kī zindagī meñ 'nazīr'
nibhā.ī maut se aur zindagī se haar gayā