zarā sī baat pe itnā jalāl kyuuñ aayā
ta.alluqāt ke shīshe meñ baal kyuuñ aayā
kisī buzurg kī sohbat hai tum ko kyā ma.alūm
mire mizāj meñ ye e'tidāl kyuuñ aayā
zamīñ pe aa gayā maġhrūr ye ḳhabar bhī hai
taraqqiyāt ko us kī zavāl kyuuñ aayā
use gañvāne kā pachhtāvā gar nahīñ tujh ko
tirī zabān pe lafz-e-malāl kyuuñ aayā
chalo ye maanā shikārī nahīñ hai suufī hai
baġhal meñ apnī dabā kar vo jaal kyuuñ aayā
bichhaḌ ke bhī to tasavvur meñ tere ā.ūñgā
magar bichhaḌne kā tujh ko ḳhayāl kyuuñ aayā
jo ahl-e-hosh ko dīvāna hī banātā hai
nazar ke sāmne vo bā-kamāl kyuuñ aayā
gayā thā soch ke mil kar hī us se ā.ūñgā
'nazīr' lauT ke itnā niDhāl kyuuñ aayā