palkoñ pe bhalā kab ye Thaharne ke liye the
motī mirī āñkhoñ ke bikharne ke liye the
chamke na kisī taur bhī zinda rahe jab tak
ham ḳhaak meñ mil kar hī nikharne ke liye the
achchhā hai ki ab saaf hī kah dījiye sāhab
va.ade jo kiye the vo mukarne ke liye the
ham aaj tirī raah meñ kaam aa ga.e āḳhir
zinda hī tire naam pe marne ke liye the
achchhā nahīñ lagtā thā tire hijr meñ jiinā
ham lauT ga.e the to bikharne ke liye the
ham log sazā-vār na the vādī-e-gul ke
kāñToñ-bharī rāhoñ se guzarne ke liye the
ahbāb bhī dushman nazar aate haiñ 'nazīr' aaj
chehroñ pe lage chehre utarne ke liye the