hamā-shumā ko nahīñ dost hī ko bhuul gayā
na bhūlnā thā jise vo usī ko bhuul gayā
tavañgarī ne badal hī diyā hai us kā mizāj
vo mujh ko aur mirī dostī ko bhuul gayā
kamī to mai kī nahīñ thī magar mirā saaqī
kisī ko jaam diyā aur kisī ko bhuul gayā
itā.ateñ hī to jiine kā ain maqsad hai
ḳhudā kā banda magar bandagī ko bhuul gayā
vo merī jaan kā dushman hai jāntā thā maiñ
milā jo hañs ke to meñ dushmanī ko bhuul gayā
qafas meñ rahne kā sayyād ye nahīñ matlab
qafas meñ rah ke maiñ parvāz hī ko bhuul gayā
tamām-umr maiñ shāyad tirī talāsh meñ thā
tū mil gayā to maiñ āvārgī ko bhuul gayā
safar tavīl thā aur maiñ thakā huā thā 'nazīr'
lagan thī itnī ki vāmāndagī ko bhuul gayā