bahāroñ kī tarah dar boltā hai
koī aa jaa.e to ghar boltā hai
kabhī detā hai nāma-bar bhī dastak
kabhī chhat par kabūtar boltā hai
ye dariyā peḌ-paude aur jharne
har ik vaadī kā manzar boltā hai
tarāshā hai use maiñ ne hunar se
mire hāthoñ kā patthar boltā hai
adab vaale suḳhan kahte haiñ us ko
ye jaadū sar pe chaḌh kar boltā hai
tapāyā hai bahut mehnat se us ko
ye sonā bhī nikhar kar boltā hai
jahāñ se haath ḳhālī jā.eñge sab
ye ik jumla sikandar boltā hai
sifārish kā bharosa bhī nahīñ hai
magar paisa barābar boltā hai
'nazīr-e-merThī' ho baat kaḌvī
to gūñgā bhī palaT kar boltā hai