Nazeer Meeruthy

nahin ab ba-wafa koi nahin hai

Nazeer Meeruthy

nahīñ ab bā-vafā koī nahīñ hai
magar shikva-gila koī nahīñ hai
bhaTaktā hī phire hai qāfila vo
vo jis kā rahnumā koī nahīñ hai
ye nagrī hai faqat gūñgoñ kī nagrī
kisī se boltā koī nahīñ hai
ye kaise log haiñ bastī hai kaisī
kisī ko jāntā koī nahīñ hai
chalāte haiñ yahāñ bas apnī apnī
kisī kī māntā koī nahīñ hai
bahut hī duur haiñ ham tum se lekin
diloñ meñ fāsla koī nahīñ hai
yahāñ bas tū hī tū hai aur maiñ huuñ
tire mere sivā koī nahīñ hai
ġharīb shahr haiñ is shahr meñ ham
hamārā āshnā koī nahīñ hai
darīchoñ se mirī aahaT ko sun kar
'nazīr' ab jhāñktā koī nahīñ hai
Top Urdushayar.com