sitam kā tiir jo hai vo tirī kamān meñ hai
jo kah chukā huuñ maiñ vo hī mire bayān meñ hai
maiñ ḳhālī jism hī ghar se nikal ke aayā huuñ
mirī jo jaan hai ab bhī usī makān meñ hai
isī liye to sabhī ham pe ho ga.e haavī
ye phuuT aapsī jo apne ḳhāndān meñ hai
mirī taraf jo ye dekhe to is se baat karūñ
ye merā dost magar jaane kis ke dhyān meñ hai
agar maiñ chāhūñ harīfoñ pe choT bhī kar duuñ
suḳhan kā tiir ik aisā mirī kamān meñ hai
ġhurūr-e-jism pe aur jaan pe are tauba
na jaane miTTī kā putlā ye kis gumān meñ hai
makāñ pe jā ke zarā is ke ThaaT dekh 'nazīr'
gadā bhī aaj kā ye kitnī ān-bān meñ hai