chashm-e-mai-gūñ vahāñ sharāb lazīz
dil-e-sozāñ yahāñ kabāb lazīz
lab-e-shīrīñ ke bose paa.e haiñ
ham ne dekhā hai aaj ḳhvāb lazīz
dahan-e-zaḳhm hoñTh chāTte haiñ
us kī talvār meñ hai aab lazīz
kahāñ talḳhī kahāñ ye mīThā-pan
is araq se hai kab gulāb lazīz
us ke seb-e-zaqan ke āshiq haiñ
hogā mahshar ke din hisāb lazīz
mīThī bātoñ meñ vasl kā inkār
hai na.e tarah kā javāb lazīz
kaise shāne ke daañt paḌte haiñ
hai jo vo zulf mushk-e-nāb lazīz
turshiyāñ kis maze maze kī haiñ
hai hameñ yaar kā shabāb lazīz
mar na jaa.e sanam marīz-e-hijr
sharbat-e-vasl de shitāb lazīz
ho sakegā na vasf-e-seb-e-zaqan
ai 'saḳhī' hai ye be-hisāb lazīz