log bhūke haiñ bahut aur nivāle kam haiñ
zindagī tere charāġhoñ meñ ujāle kam haiñ
bad-sulūkī bhī nikal aa.ī hai zindānoñ se
bad-zabānoñ kī zabānoñ pe bhī taale kam haiñ
mai-kashī ke liye nāyāb haiñ jo sadiyoñ se
chashm-e-sāqī ne vahī jaam uchhāle kam haiñ
tū ne buzdil to banā.e haiñ bahut se lekin
mire mālik tirī duniyā meñ jiyāle kam haiñ
rāh-e-pur-ḳhār se Dartā hai abhī tū 'āzar'
aisā lagtā hai tere paaoñ meñ chhāle kam haiñ