Syeda Shan-e-Meraj

yun to iKHlas mein is ke koi dhoka bhi nahin

Syeda Shan-e-Meraj

yuuñ to iḳhlās meñ is ke koī dhokā bhī nahīñ
kab badal jaa.e magar is kā bharosā bhī nahīñ
kaaT dī vaqt ne zanjīr-e-ta.alluq kī kaḌī
ab musāfir ko koī rokne vaalā bhī nahīñ
phir na yādoñ ke kahīñ band darīche khul jaa.eñ
muddatoñ se tirī tasvīr ko dekhā bhī nahīñ
jal gayā dhuup meñ yādoñ kā ḳhunuk saaya bhī
be-navā dasht-e-balā meñ koī ham sā bhī nahīñ
thak ga.e haiñ mire nākām irādoñ ke qadam
ab nigāhoñ meñ koī shauq kā sahrā bhī nahīñ
aa.ine aks se mahrūm nigah manzar se
ab ye tanhā.ī kā aalam hai ki saayā bhī nahīñ
ai mirī umr ke ma.azūr guzarte lamho
tum ne jaate hue muḌ kar kabhī dekhā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com