hijr meñ tere tasavvur kā sahārā hai bahut
raat añdherī hī sahī phir bhī ujālā hai bahut
maañg kar merī anā ko nahīñ dariyā bhī qubūl
aur be-māñg mayassar ho to qatra hai bahut
ye to sach hai ki shab-e-ġham ko sañvārā tum ne
chashm-e-tar ne bhī mirā saath nibhāyā hai bahut
baat karnā to kujā us se ta.āruf bhī nahīñ
umr bhar jis ko har ik haal meñ sochā hai bahut
jaane kyuuñ mujh se vo katrā ke guzar jaatā hai
jis ne ḳhud mujh ko kabhī TuuT ke chāhā hai bahut
ham se fankār bhī is daur meñ kam hī hoñge
ham ne duniyā se tire ġham ko chhupāyā hai bahut
vo kahīñ mujh se taġhāful kā sabab pūchh na le
shaan aaj us ne mujhe ġhaur se dekhā hai bahut