Masood Maikash Muradabadi

husn-e-jaanan nazar nahin aata

Masood Maikash Muradabadi

husn-e-jānāñ nazar nahīñ aatā
aah meñ kuchh asar nahīñ aatā
sho.ala-e-ġham nazar nahīñ aatā
ab koī bhī idhar nahīñ aatā
dil shab-e-ġham se ho gayā mānūs
ab ḳhayāl-e-sahar nahīñ aatā
ishq ehsān se ibārat hai
ishq-e-nādāñ nazar nahīñ aatā
hosh-mandoñ kī is ḳhudā.ī meñ
koī dīvāna-gar nahīñ aatā
kab se haiñ farsh-e-rāh dīda-o-dil
aane vaalā magar nahīñ aatā
jab se tum ne nigāh pherī hai
koī apnā nazar nahīñ aatā
jab se 'maikash' bahār aa.ī hai
dāman-e-dil nazar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com