Masood Maikash Muradabadi

jazb hone bhi na pae the hamare aansu

Masood Maikash Muradabadi

jazb hone bhī na paa.e the hamāre aañsū
yaad phir aa ga.e bhūle se tumhāre aañsū
ban hī jaate kabhī hastī ke sahāre aañsū
haa.e ruk hī na sake ham se hamāre aañsū
merī āñkhoñ meñ rahe vo to khaTakte hī rahe
un ke dāman pe bane chāñd-sitāre aañsū
TūTtī hai dil-e-ġham-ghīñ pe qayāmat kyā kyā
aa ke palkoñ pe jo rukte haiñ hamāre aañsū
ye na hote to qayāmat thā sahar tak jiinā
mere pyāre mirī rātoñ ke sahāre aañsū
azmat-e-ishq hai pābandī-e-zabt-e-furqat
ya.anī tauhīn-e-mohabbat haiñ hamāre aañsū
ek aañsū na bahā.ūñ ġham-e-duniyā ke liye
ġham-e-jānāñ ke liye haiñ mire saare aañsū
vo bhī kyā sā.at-e-rañgīñ thī ki jab ai 'maikash'
un ke āñchal meñ hue jazb hamāre aañsū
Top Urdushayar.com