Masood Maikash Muradabadi

kahin qabil-e-karam hai kahin paikar-e-sitam bhi

Masood Maikash Muradabadi

kahīñ qābil-e-karam hai kahīñ paikar-e-sitam bhī
yahī zindagī jahannam yahī zindagī iram bhī
maiñ vo harf-e-avvalīñ huuñ na miTā sakā zamāna
ki hazār mujh se uljhe ye jahāñ ke pech-o-ḳham bhī
yahī farq to hai nādāñ tire ġham meñ mere ġham meñ
tujhe dostoñ kā ġham hai mujhe dushmanoñ kā ġham bhī
na ḳhirad hī ham-safar hai na junūñ hī rāhbar hai
ye maqām kaun sā hai yahāñ ruk ga.e qadam bhī
ye ajiib mai-kada hai ki gumān-e-mai-kada hai
yahāñ riñd hosh meñ haiñ yahāñ fikr-e-besh-o-kam bhī
mirī zindagī meñ aisī ka.ī manzileñ bhī aa.iiñ
jahāñ kuchh na kaam aa.ī tirī pursish-e-karam bhī
na milī junūñ meñ 'maikash' mujhe fursat-e-nazāra
sar-e-rāh yuuñ to aa.e ka.ī dair bhī haram bhī
Top Urdushayar.com