guloñ ko sahn-e-chaman meñ qarār kyā hogā
ḳhizāñ ke daur meñ shukr-e-bahār kyā hogā
ye shab ummīd-e-sahar meñ guzār dī lekin
sahar se tā-ba-shab intizār kyā hogā
havā-e-dasht jo dīvāna-vār guzrī hai
na jaane aaj lab-e-jūebār kyā hogā
jise alam bhī mohabbat meñ raas aa na sakā
kisī ḳhushī kā use e.atibār kyā hogā
bajā nasīhat-e-tark-e-sharāb bhī nāseh
ilāj-e-āmad-e-abr-e-bahār kyā hogā
shikār-e-kākul-o-ruḳh ho chukā dil-e-'maikash'
shikār-e-gardish-e-lail-o-nahār kyā hogā