Masood Maikash Muradabadi

KHatm jis din shorish-e-ah-o-fughan ho jaegi

Masood Maikash Muradabadi

ḳhatm jis din shorish-e-āh-o-fuġhāñ ho jā.egī
zindagī insān par bār-e-garāñ ho jā.egī
quvvat-e-ehsās agar sarf-e-fuġhāñ ho jā.egī
naqsh-e-faryādī mirī umr-e-ravāñ ho jā.egī
gar yahī dīvāngī hai rahravān-e-ishq kī
manzil-e-maqsūd gard-e-kārvāñ ho jā.egī
aaj sajdoñ kī farāvānī se hotā hai gumāñ
ḳhud jabīn-e-shauq terā āstāñ ho jā.egī
jo shab-e-furqat giregī dīda-hā-e-shauq se
vo lahū kī buuñd bahr-e-be-karāñ ho jā.egī
gulistāñ par bijliyoñ kī yūrisheñ hone to do
har kalī sehn-e-chaman kī āshiyāñ ho jā.egī
bāda-noshī meñ agar husn-e-aqīdat hai sharīk
bazm-e-sāqī sajda-gāh-e-do-jahāñ ho jā.egī
Top Urdushayar.com