shab-e-firāq kā dhokā kabhī sahar kā fareb
kamāl-e-zauq-e-tamāsha hai yā nazar kā fareb
mujhe hayāt kī sarhad se duur le aayā
giraft-e-hosh se pahle tirī nazar kā fareb
ġhubār-e-rāh meñ gum ho ga.e rahīn-e-safar
magar na TuuT sakā phir bhī rāhbar kā fareb
mirī hayāt tirī zulf kī panāh meñ hai
shikast de na sakegā mujhe sahar kā fareb
tirī nazar kā karishma nahīñ to phir kyā hai
taġhayyurāt-e-zamāna ye bahr-o-bar kā fareb
tumhārī anjuman-e-nāz tak mujhe laayā
mirī nigah kā taqāzā mirī nazar kā fareb
hudūd-e-kūcha-e-jānāñ ke mā-sivā 'maikash'
har ek gaam pe miltā hai ḳhair-o-shar kā fareb