vo mile haiñ magar malūl haiñ ham
jo ḳhizāñ meñ khile vo phuul haiñ ham
ham ko zulmat-panāh mat jaano
ik na.ī sub.h ke rasūl haiñ ham
is tavajjoh kā kyā Thikāna hai
terī pahlī nazar kī bhuul haiñ ham
tishnagī to hameñ qubūl na thī
tishnagī ko magar qubūl haiñ ham
us badaltī nigāh se pūchho
ishq kā mo'atabar usuul haiñ ham
kitne be-kaif kis qadar be-rañg
kis kī taḳhlīq kā husūl haiñ ham
pyaar kī chāñdnī meñ khilte haiñ
dasht-e-insāniyat ke phuul haiñ ham
zindagī ne kahā ujālā haiñ
maut ne jab kahā fuzūl haiñ ham
aaj bhī mīr-e-kārvāñ tum ho
aaj bhī rahguzar kī dhuul haiñ ham